Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha


Wednesday, June 9, 2010

hurf tilsam

Bismillahir Rahman nir Raheem



hurf tilsam
chaptor no 17

hurf tilsam wo hote hai jin ki simple insan ko samajh nahi ate ka yeah kya hote hai laken in tilsam ka under beh pana kowat or asar hota hai ager amel insay kam lena chahe to yeah tilsam be pana kowat ka malik hote hai or yeah taveez se zada asar dar or taquat verhote hai or in ka asar jald waza ho jata hai misar main be log tilsam se kam leta hai or misar main porani porani kadem dewaro per yeah tilsam bana howa hote hai main abe sirf tilsam ka hurf likh deta ho taka jab be kohi be tilsam use karna ho to kohi galte na kareen



ager kohi tilsam likha to un main se kohi hurf na samajh ahe to in main se match karleen taka galtee na ho


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


mokel (angels)

Bismillahir Rahman nir Raheem

mokel (angels)
chaptor no 18

As salamua laliqum

mokel ki tareef

ahse rohani maklook jo insan ki nazar se posheda hote hai jo khas al khas allah rabul ezat ka hukum ka ma tehat kam karte hai or ager kohi belkul quran or sunnat ka motabik apni zeendage ko dal lay to yeah is farad ka pass khod chalay ate hai


mokel noor se bana howa hote hai Allah pak na mokel ko noor se banaya hai is liya ka yeah tamam gonaho se pak or nafsani khowaheshat se belkul pak hote hai or yeah nake ibadat gozar or parhezgar hote hai is liya kohi be insan in ko kabo nahi kar sakta or nahe in ki taskhir kar sakta hai jab tak ka wo apna app ko in ki tabiyat ka motabik na dal lay

for example ager kohi in ko kabo karna chata hai to us ko quran or sunnat ka motabik amal karna paree ga tab he ja kar yeah cheez kabo main ate hai

bazz log yeah samajhta hai ka mokel kabo main ah jata hai ahsa her guzz nahi hota mokel kabe be kabo main nahi ate or na he mokel ko kisi bottle main band kiya ja sakta hai jesa ka kisi jin ko kabo kar ka bottle main band kar deta hai mokel be panah kowat ka malik hote hai or dunia ka tamam kam sir anjam de sakta hai or amel kabe be in ko kabo nahi kar sakta or na he in ko bottle main band kar sakta hai yeah sirf amel ka kam ko sir anjam deta hai jo jahiz ho


inhe mokel ko alvi mokel kehta hai q k yeah mokel alwi hote hai jo ka alwi kam karna walay ki madat karte hai or alwi (nake) kam karna mushkel hai yeah amel ki us waquat tak madat nahi karte jab tak amel apni app ko quran wa sunnat ka motabik dal na lay verna yeah amel ka samna nahi jhookta or kohi kam nahi karta jab tak wo apni zaban or apna khayalat apna afal or apni roze taharat na kareen or jab amel in tamam cheezo ka paband ho jata hai to yeah mokeleen khod is ka dil main is tarah otar jate hai jesa dana deak kar parinda otar jata hai wesa yeah be amel ki madat karna ka liya ah jata hai


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com



mokilat ka jadool

Bismillahir Rahman nir Raheem


chapter no 19
mokilat ka jadool


As salamu allaiqum


her hurf ka ake zahere mokil hota hai is ka asar nazar ana wali asia per mertab hota hai dosara mokil batani hota hai jis ka asar tamam asia per mertab hota hai jo nazer se posheda ho ya alam_e_ rohaniyat se jin ka talook ho
alif ka zahere mokel Aahil hai or alif ka batani mokil israfil hai bus ishe tarah 28 hurf ka mokil zahere or batnai mana likh deya hai in ka adat be likha howa hai



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


nam ka zahere or batani mokel bana ny ka tareka

Bismillahir Rahman nir Raheem

nam ka zahere or batani mokel bana ny ka tareka

chaptor no 20

As salamu allaiqum

her shaks apna nam ka pehla hurf ko markaz taslim kareen or akre hurf ko mohit


for example ake shaks ka name ahmed hai

alif markaz hai or dal mohit hai

abb alif ka mokel zahere ahil hai or batani israfil hai abb main apko ba atbar mokal istakraj karna ka tareka batata ho

ahmed ka nam ka hurf malfoze kareen gay

main abjad malfoze ka chart likh deta ho taka sai se samajh main ahe


abjad malfozi
alif =111
ha= 9
mim=90
dal=35
total adat malfozi howa = 245
total adat hurf malfozi main ahmed ka = 11

abb 245 ko divide kiya 11 se to 3 bacha

abb ba hisab abjad ka 3 hurf jim hai bus ahmed ka zahere mokel jael hai or batani kakael hai



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


mokel ki types

Bismillahir Rahman nir Raheem

mokel ki types

chaptor no 21

As salamu allaiqum



mokel ki kisam

1 mokel alwi jamali
2 mokel alwi jalali
3 mokel sifli jamali
4 mokel sifli jalali
5 mokel kudsi
6 alam burzag k log
7 mohtaroon

1 mokel alwi jamali

mokel alwi jamali is kam lena assan hai in se sirf wohe log kam le sakta hai jo ahlam islam ho or jo nabi pak ko mana walo main se ho or quran wa hadess per chalna wala ho you to galat akida wala or nabi or quran pak ko mana wala be in se kam nahi le sakta q k in se kam lana ka liya bohat zada nake kam karna perta hai


2 mokel alwi jalali

mokel alwi jalali jo hai shola mizaj ka mokel hota hai in mokilo se kam lena bohat mushkel hai is ka bar akash mokel alwi jamali se bohat asani se kam liya jata hai amel mokel alwi jalali se us waquat kam sai se le sakta hai ka jab wo tarak_e_ jalali wa jamali kareen q k alwi jalali ka dil main reham nahi hota or in ka mezaj shola hota hai app logo na khod deakho ga ka bazz amelo ka mijaz be jalali hota hai or wo bohat jald gosa kha jata hai to wo ishe waja se hota hai ka jab in mokilo ka amal karte hai to in ka asar amel ka uper be perta hai yeah mokel jamali mokel se zada taquatver hote hai


3 mokel sifli jamali

mokel sifli jamali us ko kehta hai jo choti moti assan sharayat per jadogar ka kabo main ah jata hai agarcha inko kuch galat kam karna parta hai laken yeah cheeze bohat aram se kabo main ah jate hai or is kisam ka mokilo ko kohi be mazab se talook rakhna wala kabo kar sakta hai mazhab ki kohi kaid nahi yeah sifli mokel jadogar ki barpor madat karte hai or her wo galat kam karte hai jo jadogar chata hai


4 mokel sifli jalali

yeah mokel jalali hote hai agarcha yeah alwi mokel se nehayat kam taquatver hote hai alwi mokel in sifli mokelo ko jala kar rakh kardeta hai agercha in ki kitni he bare fojh q na ho yeah sifli mokel alwi mokilo ka kuch be nahi begar sakta q k yeah sifli mokel agg se bana hote hai or in ka shomar jinnato main se hai or alwi mokel noor se bana howa hota hai is liya wo zada taquatver hote hai sifli jalali mokel se shar pehlana wala kam liya jata hai maslan kisi shaks ko eza dena us ko tang karna bermar karna wegara wegara in sifli mokilo se insan ko khod nooksan uthana parta hai q k yeah galat kam ki taraf jana ko kehta hai ager jadogar galat kam na kareen to phir yeah uski help karna ko taiyaar nahi hote or yeah ahse ahse jadogar ko azmahish main dalte hai ka majboran usko galat kam karna per jate hai jis se jadogar ko khod nooksan uthana parta hai for example sifli mokel jadogar se yeah kehta hai ka apni ammi ko pash karo ya apni behan ko pash karo ya apni bewi ko pash karo sex karna ka liya to phir jadogar ko in sifli mokil ki khidmat ka liya apni ammi, behan, bewi , ya khod apna app ko pash karna parta ha pash yeah jadogar is tarah karte hai ka bus sifli mokel se keh deta hai ka jao mare ammi , behan , bewi ka sath sex karo to yeah sifli mokel raat ko jab yeah log so rahe hote hai to yeah kam sir anjam deta hai or in logo ko mehsos be hota hai jin ka sath yeah bora kam hota hai laken wo itna samajh nahi pata ka kya ho raha hai un ka sath jab yeah sifli mokel kush ho jata hai to phir jadogar jo kehta hai yeah sifli mokel us ka her kam sir anjam deta hai


5 mokel kudsi

mokel kudsi ko kabo karna intahe mushkel hota hai yeah in 4ro mokel se zada taquat ver hota hai is ki habat bohat hote hai her kisi ka bass ki baat nahi hai ka wo mokil kudse ko samal lay or is ko taba kareen or is se kam lay yeah sirf ah la allah or Allah ka walio ka kam hai ka wo in se kam la q k Allah ka wali or buzurg salo sal roze rakhta hai or wo hamare tarah gona gar nahi hote is liya yeah mokel jado inka kabo main ah jate hai or inki baat man leta hai is mokel ka shomar alwi mokel main se hota hai

6 alam burzag ka log

ahsa noore makhlog jo marna ka baad insan per zahir hote ha laken bazz buzurg in logo se be mdat le leta ha in tak pouch na u samajh lay ka namumkin wali baat ha yeah bohat he poucha howa buzurg in se kam le sakta ha


7 mohtaroon

asmani makhlooq se talooq ha jo zameen ka mokil se kam leta ha yeah mokel alwi or sifli dono ko pakar k unse kam le sakta ha . mohtaroon se kam lena bohat poucha howa Amel ki baat hote ha


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


mokel kabo karna ki sharayat

Bismillahir Rahman nir Raheem


mokel kabo karna ki sharayat

chaptor no 22

As salamu allaiqum



qurani aiyat or isam allah or tamam hurf ka picha mokel he kam karta hai jis ki telawat karna se mokel insan ka kam sir anjam deta hai magar amliyate line main ba mokel amal karna is ko kehta hai ka mokel ko apna samna hazer karna tark_e_jalali wa jamali kar ka or us ko order karna ka hamara yeah kam karo is doran main mokel amel ka samna chai ya khofnak shakel main hazer hota hai or mokel ki pore kushes hote hai ka wo amel ko dara dhamka kar wapious chala jahe q k kohi be arva yeah nahi chate ka wo tabadare karee kisi ki be her kohi azad rehna chata hai jab amel in cheezo ka darna ya dhamkana se nahi darta to yeah cheeza amel ka amal karna se kabo main ah jate hai or phir in ki atat karte hai or ahinda ka liya is ko bolana ka tareka be daryaft kiya jate to wo tareka be khod he batate hai

amal ba mokel karna ka liya tara_e_jalali wa jamali zaroore hai jis tarah amal karte hai to is ko karte howa dehan rakhna be zaroore hai pakizgee taharate ka sath achi kushbo main basa hona chaheya room jis ka chila kiya ja raha hai logo ka ana jana nahi hona chaheya ake alag makan ho jaha per mokelmal sakoon ho
mokeleen paki or taharate kushbo ko bohat passand karte hai jisam labas ki paki ka sath kalab wa niyat ki paki be sharat hai kisi najahis khail ko dil main jaga na deen verna rajat hoge


jab amal ba mokel pareen to jis time ko pehla para tha to roz ushe time ko amal kiya kareen taka amal kamyab ho q k ager amal agar waquat per nahi kiya to mokelo ko takleef ho gee or wo chalay jahe ga mokel intazar nahi karte or ager dair hoge to wo chalay jahe ga amel ka wait nahi kareee gay is liya agar amel dair karee ga to us ka amal barbad ho ga or mokel kabo main nahi ahe ga us ka


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


burj ka mokilat ka nam

Bismillahir Rahman nir Raheem

chaptor no 23

burj ka mokilat ka nam

As salamu allaiqum


1 burj hai hamal is ka mokel hai atael

2 burj hai sor is ka mokel hai ezrael

3 burj hai joza is ka mokel hai israfil

4 burj hai sartan is ka mokel hai fekael

5 burj hai asad is ka mokel hai herkael

6 burj hai sunbala is ka mokel hai samakael

7 burj hai akrab is ka mokel hai sumnael

8 burj hai meazan is ka mokel hai faham alkhael

9 burj hai kos is ka mokel hai sal hael

10 burj hai jadi is ka mokel hai samakael

11 burj hai delo is ka makel hai jahat

12 burj hai hoot is ka mokel hai faqhael


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


setaro ka mokilat ka nam

Bismillahir Rahman nir Raheem


chaptor no 24

setaro ka mokilat ka nam

As salamu allaiqum

Allah tala na ba shomar setare banahe hai in main se alam sifli faida utha ta hai or ameleen be faida uthata hai
ishe tarah jin setaro se alam sifli or ameleen kam leta hai wo yeah hai kamer , atarad , zehra , shams, merek, mushtare, zahal , kamar yeah 7 setare hai jin ka gehra talook hai amleyat main inhe setaro ka sath mokilat ka talook be hai or in ka mokilat ka nam yeah hai

kamar = mokel is ka ismael hai

atarad=mokel shakael hai

zehra =mokel syed hael hai

shams = mokel salsael hai

merek = mokel kael hai

mushtare= mokel samhael hai

zahal = mokel farael hai

yeah setaro ka mokilat ka nam hai in mokilat ka talook in setaro se hai jab amel kisi setare ki sath main amal karta hai to wo us setara ka mokil se imdat talab kar sakta hai satho ka bare main tafeel se samjhao ga is chaptor main sirf setaro ka mokilat ka bare main para raha ho


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


dino ka mokilat

Bismillahir Rahman nir Raheem

chaptor no 25

dino ka mokilat

As salamu allaiqum

amel ko 7to dino ka mokilat se be madat lani chaheya or amel ko yeah be maloom hona chaheya ka kis din ka kon sa mokel hakim hai or in ka kya nam hai jis din amal start kareen to us din ka mokel se ba adab madat talab kareen yani in ka nam bah adab wa tazeem lay or in se imdat karna ko kahe taka amal ko kamyab hona main dair na ho her 1 din ka do mokel hakim hai sifli arze mokel hai dosara alvi samawe mokel hai

in mokelat ka nam yeah hai


in mokel se kis tarah imdat hasil ki jahe yani hukum dena ka tareka wo main apko batata ho ka kase imdat hasil ki jate hai

is tarah kahe



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


smith ka mokilat ka nam

Bismillahir Rahman nir Raheem


chaptor no 26
smith ka mokilat ka nam


As salamu allaiqum

amal ko yeah be maloom hona chaheya ka 4ro smith ka kon kon sa mokel hai or un ka kya kya nam hai mashrik , wa magrib , wa shomal , wa janoob ka kon kon se mokel hai yeah maloom hona chaheya taka in se imdad hasil ki jaga saka



in mokilat se bar waquat app madat la sakta hai jab amel kohi amal karta hai to kohi na kohi smith ikhtayaar

karta hai so jis tarah amel smith ikhtayaar kareen to us smith ka mokel se imdat talab kareen



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


mokilat ki azimat

Bismillahir Rahman nir Raheem

chaptor no 27
mokilat ki azimat

As salamu allaiqum

amel mokel se mooktalif azimat or ake mokamal formula ka motabik in se rabta pada karta hai jis se yeah deni ya duniyawe kamo main bohat madat karte hai.

agar nakash ya amliyat main ismahe mokilat na ho to mokileen amal main ajabat nahi karte is liya azimat par kar in se kam liyat jata hai

azmat main ismahemokilat wa awan ko kasam de jate hai jis se kam foran sir anjam hota hai azmiyat main mokilat ka hukum or un ko kasam de jate hai



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


hurf ki smith

Bismillahir Rahman nir Raheem

chaptor no 28

hurf ki smith


As salamu allaiqum

jab kohi be amel amal karta hai to wo jis hurf ka amal karta hai us ki smith ikhtayaar karta hai or ishe tarah

taveez zat main be yahe tareka ikhtayaar kiya jata hai taveezo main be 4 taveez hote hai ahtashe badi abe or

khaki jab amel taveez likhta hai to wo be smith ka khail rakhta hai ake or tareka hai smith ikhtayaar karna ka

burjo ki smith se be ikhtayaar ki jate hai wo elim najoom main sekhao ga . jo 7 hurf ahteshe hai wo

mashreki hai lahaza amliyat main jis qader in hruf se kam lay to mashrik ki taraf mu karlay or jo 7 hurf khaki hai wo

janobe hai amel amliyat main jab in hurfo se kam lay to mu janib janoob kareen jo 7 hurf bade hai wo garbi

hai in se kam leta waquat mu magrib ki taraf kareen ishe tarah jo 7 hurf abi ha wo shomali hai jab in hurf se

kam lay to mu shomal ki tarah kareen nicha ake jadool de raha ho us se be assani se samajh ah jahe ga



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


rojal gayab

Bismillahir Rahman nir Raheem


chaptor no 29

rojal gayab

As salamu allaiqum


rojal gayab mardan khuda hai jo her kam main sharek hota hai or her mamlat main maslan rawangee safar

her nake kam ki ibtada wazefa khowani , chila kase , jinnato ki taksir or wegara wegara rajal gayab amel ki

herkat wa saknat main dakhel hote hai kader motalk na jis tarah farishto ko nezam dunia per malak kar

rakha hai kohi barish ka mokel hai or kohi hawal ka is tarh rojal gayab amal rohani per hukumrah hai yeah

zameen ka girid chackar lagate rehta hai in ki tarekha mokarar hai ka yeah ajj kis taraf hai jab kohi ibtadahe

amal ya wazefa ya nakash ya jalsa ya morakba wegara karna ho to maloom kareen ka ajj rojal gayab kis

taraf hai agar robaro ho to nahis hota hai in ki taraf mu kar ka her guezz kam na kareen yani jab kam k liya

betha to in ki taraf pusht karleen ya in se dast chup ki taraf karleen agar is tareka k khilaf kareen gay to

iagar doste ka amal kareen ga to dosmani waka hogee kohi be amal kareen ga to wo ulta sabit hoga


tareka yeah hai jab amal ka liya bateen to jis taraf rojal gayab ho ishe taraf mu kar ka in ko salam kahe or

imdad talab kareen is amal ko karna ki azimat deta ho parna ki


salam karna ka baad us taraf mu kareen jis taraf beth kar amal karna hai yeah salam ba adab kare ho kar


sena per hath rakh kar pareen


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


rojal gayab ka naksha

Bismillahir Rahman nir Raheem



chaptor no 30

rojal gayab ka naksha


As salamu allaiqum


is sabaq main mah apko rojal gayab ka ake naksha deakhata ho jis se apko maloom pareen ga ka yeah kis tareke ko kaha per hote hai


is naksha main pore detail ka sath tamam tareka waza hai so lahaza agar app marib ki taraf mu kar ka amal

kar rahe ho to in tareko main na kareen ishe tarah tamam smith ka khail rakhe taka koi be nooksan na ho

yeah jo tareka hai yeah islami calender ka motabik hai yeah rojal gayab ka naksha islamic calender ki hisab se hai


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


rojal gayab ka sadkat

Bismillahir Rahman nir Raheem

chaptor no 31

rojal gayab ka sadkat
As salamu allaiqum

abb yaha se main in sadkat or tawezat ka beh lahaz aiyam hafta zikar kar raha ho jo rojal gayab se motalik

hai amel jis waquat rojal gayab se rojo kareen to is ko chaheya ka bah tareke bila darood or dua rojal gayab

par kar apni zaban main apna matlab dali ka izhar kareen inshallah morad bar ahe gee or rojal gayab

mokabla per ho to sadka de jab tahrere zail ka amal kareen taka kisi tarah ki herkat pash na ahe jo tareka

sadkat k bare main tahrer kar raha ho baroz mangal or budh shomal ki taraf hai or mu janoob ki janib pass

agar is taraf mu rukh kar ka amal karna ki zaroorate pasha ahe to kand sayah shart yeah hai ka kawahid

ijazat deta ho thora thora sa kha kar or karahe main chawel paka kar sadka de den or phir chila shoro

kareen inshallah koi herkat pash na ahe gee

pir ka din taraf mashrik ka hai pass ahse halat main mu taraf magrib k rehta hai lahaza agar in dino main in

atrafe main rukh kare jab rojal gayab robaro ho to koi kam jaded na kareen or agar new kam ki ibtada

zaroorate ho to ahena deak kar shoro kareen

atvar or juma ka roz rojal gayb magrib ki taraf or mu smith mashrik hota hai pas agar is roz kohi jaded kam

karna ho ho to 40 pan ka ake bohat bara batera khana ka baad kam ka agaz kareen inshallah kam sai ho ga

jumarate ka din janoob ki taraf ho gay or mu shomal ki taraf hota hai pas is roz kam begar smith badla kam

na chalta ho to dahe khana ka bad kam ka agaz shoro kareen


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


rojal gayab ka tavezat

Bismillahir Rahman nir Raheem


chaptor no 32

rojal gayab ka tavezat


As salamu allaiqum

abb yaha main rojal gayab ka sadkat or tawezat ko tahrer kar ta ho jin ka tazkara kar choka ho chonacha

jab mardan gayab ka mokabla ho or in ki taraf se sakte ahe to app taveez ko likh kar estamal kareen

sadkat or tawezat main nicha likh deta ho apna wesa he istamal karna hai

tareke 1,9,16,24

1 agni ki taraf 9 ajnas ka ka sadka paho sair la kar safaid murga ya mor ko khila den or is taveez ko likh kar

apna bazu per bande

tareke 29-22-14-7

2 mashariki ki taraf hai sadka 7 nishakerd ganay hati ko khela deen or is taveez ko likh kar sir main rakhe

tareke 28-21-6

3 esan ki taraf hai sadka paho sair dal gade ko khilade or yeah taveez likh kar apna sede bazu per bande

tareke 30-23-15-8

4 shomal ki taraf sadka adah sair chana baga kar gohre ko khila de or is taveez ko likh kar apna sede bazu

per band lay

tareke 27-19-12-4

5 magrib ki taraf sadka 7,8 hare ghas gahe ko khiladen or yeah taveez likh kar apna pas rakhe

tareke 20-13-5

6 bahib sadka ada sair dal baga kar camel ko khiladen or yeah taveez likh kar apna bazu per bande

tareke 25-17-10-2

7 nirat ki taraf sadka ake paho chawel baka kar kuta ko khiladen or is taveez ko likh kar apna bazu per bande

tareke 26-18-11-3

8 janib janoob sadka paho sair gosht ko pela range de kar garba nir ko khiladen or is taveez ko apna sede

bazu per bande


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


rojal gayab ki sakte door karna

Bismillahir Rahman nir Raheem



chaptor no 33

rojal gayab ki sakte door karna
ka darood or dua


As salamu allaiqum


sab se pehla smith daryafat kareen k jis jehat main hai phir ishe rukh kar ka ishe taraf 7 kadam agay baren or is darood ko 7 mertabah pareen




or phir ishe kader yeah dua pareen


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com



Aarab dena ka tareka

Bismillahir Rahman nir Raheem


chaptor no 34
Aarab dena ka tareka

As salamu allaiqum

azemat , malaheka awan or merkabat hurf k perna ka liya mundarja zail hurf se kam lay yani bazz jaga hurf

ka imtazj se jo ajeeb wa gareeb alfaz bante hai in k perna ka liya zair wa zabar ka tareka ake jadool main

samjhata ho


dosare kaheda be hai Aarab dena ka us main hurf ahtashe ko pash de hai q k ahtashe alwi foki hai or hurf

bade ko zair de hai k hawa ko alwi sifli hasil hai or hurf abi ko zair de hai q k tabiyat main paste hai or hurf

khaki ko sakone (jazam) deya hai k khak sakin hai is ko be ake jadool main kar ka batata ho


in dono kahedo main se dosare kaheda per amal karna zada behtar hai mujha 2 maloom tha is liya 2no bata deya


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


hisar

Bismillahir Rahman nir Raheem


chaptor no 35
hisar
As salamu allaiqum


hisar ake kundali kich na ko kehta hai ya u samajh lay ka apna ird gird ake dahera band na ko kehta hai

amliyate line main amliyate dunia ka yeah ake ahsa ahena nakabli takhsire kilah hai jis ka under amel beth

kar amal khowani karta hai or tamam khatrate se apna app ko mehfooz pata hai is liya is folade kila ki amel ko

zaroorate parte hai k amel jo be amal karna chata hai ya is dua ka tabah mokilat or jinnat hote hai jin per amel

is dua ka zarya kabo hasil kara hai in ko apna motai wa farmabardar banana chata hai or yeah roz ate hai jab

amel amal perta hai amel ho ya kamel ho in ki taquat se kahe gona zada taquatver mokel or jinnat hote hai

bus jab amel amal karta hai apna amliyat ka zoor se in ki taquat ko salab karna ki koshes karta howa in ko

apna farma bardar banana chata hai to wo amel ka mokabla main ah kar us ki wazefa khowani main nooks

peda karte hai or apni azade bar karar rakhna cahte hai hisar choka ake bohat mazboot dua ka kila hota hai

mokeleen ki bah panah taquat be is ko toor nahi sakte is liya wo hisar ka under dakhel ho kar apko

nooksan nahi poucha sakta bahar her mumkin khauf zada kushes karte rehta hai taka app apna amal ko

pora na kar sake doran amal jab kabe kisi ksiam ki herkat kushamdana ya khaufzada ho to app in ki

hakikat ko na samjhe belka yeah ake khail tamasha tasavoor kareen is ka baad khatam amal per apko yeah

sab manazir nazar nahi ahe ga


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com




dua_e_hisar

Bismillahir Rahman nir Raheem



chaptor no 36

dua_e_hisar

As salamu allaiqum


1) jab app amal karna betha surah al hamd aiytal kurse or 4 qul ko 3 bar par kar apni ungali per dam

kareen or apna gird dahera banda dahera is tarah banda ka pora sahe se gool ho agar beach main koi

jaga khali reh gui to samjha jinnat ya mokel hisar ka under ghus jahe ga or apko nooksan hona ka khatra

ho sakta hai

2) ishe tarah hazrate ka amal main yeah hisar behtar hai aiytal kurse , 4 qul , or is ka baad yeah dua pareen


آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ ۚ كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ ۚ وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا ۖ غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ
or apna uper dam karna ka baad inhe duas ko par ka apna gird dahera banahe


4)
bah mokel amliyat ka liya mazboot hisar ki zaroorate hote hai hisar ka under baroni khatra ka asar nahi

hota belka aksar rajat se be aman rehte hai her amal main hisar ka kam de ga kohi be amal se kabal 3

mertabah par kar apni ungali per dam kar ya chore per dam kar ka apna gird hisar kareen phir 3 dafa par

kar apna uper dam karliya kareen


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


adat nikalna ka tareka

Bismillahir Rahman nir Raheem

chaptor 37

adat nikalna ka tareka


As salamu allaiqum


kisi be cheez ya nam ya aiyat ka adat nikal na ka liya hurf_e_taji ka hurfo ka adat maloom hona chaheya

amoman hurf_e_taji kamre ka he adat nikala jate hai or inhe ko zair se asar laya jata hai

ake jadool deta ho taka mare baat asani se samajh main ah jahe apko




yeah abjad kamre hai or nicha in ka adat likha howa hai

misal ka toor per appna nam ka adat maloom karna hai abb main apko ahmed ka nam ka adat maloom karna batata ho

ahmed
alif = 1
bare ha = 8
mim = 40
dal = 4

total adat howa ahmed ka 53 bus ahmed ka nam ka adat howa 53

abb main apko aiyat ka adat nikal na ka be tareka batata ho

for example بسم الله الرحمن الرحيم ka adat nikalte hai


bah =2
sin = 60
mim =40
alif = 1
lam = 30
lam = 30
choti ha =5
alif = 1
lam =30
rah = 200
bare ha = 8
mim =40
noon =50
alif = 1
lam = 30
reh = 200
bare ha = 8
yeah = 10
mim = 40

total adat howa 786 bus bismilah ka adat howa 786 yeah jo mana adat nikalay hai yeah kamre adat kehlahe gay

ishe tarah tamam surah ka adat nikal sakta ha


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com




zakat

Bismillahir Rahman nir Raheem

chaptor no 38
zakat

As salamu allaiqum


type no 1

amel apna nam k adat ka motabik 41 days tak roz ana pareen to wo amal sirf ake dafa kam de ga hamesha nahi

example

ahmed k adat hai 53

amal ya allaho k adat hai 77

abb ahmed is amal ko roz apna nam ka adat ka motabik 53 bar paren ga yani ya allaho amal sirf 53 bar

paren ga tu yeah amal sirf 1 dafa kam de ga

type no 2

jo amal parna ho is k hurf ki tadat jitni ho itni hazar martabah roz ana 41 roz

pareen hameshah ka liya amel

ho jahe ga amel is ka safe zaban ho jata hai phir waquat zaroorate 1 mertabah

parna kafe hota hai

example

ya allaho ka hurf k adat hai 6 to roz ana 6000 martabah ya allaho amal kareen

ga 41 days tak to hamesha ka liya ya allaho amal ka amel ho jahe gay

type no 3

amal k jitna hurf ho itna 100 martabah roz ana pareen yeah zakat be ake he bar

kam datee hai

example

ya allaho amal ka 6 hurf hai to 600 martabah 41 days tak pareen gay to yeah

amal ake he dafa kam de ga

type no 4

zakat sagher amal ka adat kamre jitna ho itna he bar roz ana pareen

yeah zakat amli hai or motbar be

example

ya allaho amal ka adat kamre hai 77 bus itni he bar roz parna hai

type no 5

zakat kabir amal k adat kamre ko hurf amal se zarab do or hasil zarab ko roz

ana paro yeah zakat sagheer se zeda se zada kawi hai hameshah k liya amel

ho jahe ga

example

ya allaho amal ka adat kamre hai 77 mutiple kiya hurf se jo 6 hai total =462

abb roz ana itni tadat main parna hai

type no 6

zakat akber

amal kabire k adat kamre ko hurf amal se zarab deen or hurf zarab ko roz ana

pareen yeah zakat sagheer se zada kawi hai hamesha k liya amel ho jahe ga

example

uper wali zakat ka hisab main 462 aiya tha is ko dobara multiple kiya 6 se total

hoa 2772 abb itni tadat main roz pareen yeah zakat kbir se zada kawe hai k is

isam ka mokel samna ah kar amel se molakat kareen gay


type no 7

zakat kabahire

amal akbar ki tadat ko phir hurf k adat se zarab de kar pareen yeah akber se

be zada kawe hai

example uper ka total main aiya tha 2772 abb is ko phir 6 se multiple kiya to

total aiya 16632 ahsa karna se is isam ka mokel khadim ho kar her waquat

sath rahe gay

type no 8
zakat akber alkabahir

amal akber ki tadat ko phir hurf k adat se zarab de kar pareen is ko kaberat

ahmer ya lal saped kheta hai is tadat ko is isam k nisab kehta hai

example uper ka total aiya tha 16632 is ko multiple kiya 6 se total hoa 99792


yeah zakat akber al kabahir hai jo intahahe mushkel hai


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname

amel_soname@yahoo.com


pak karna nafs ko

Bismillahir Rahman nir Raheem

chaptor no 39

pak karna nafs ko

As salamu allaiqum

is chaptor main apko nafs ka bare main batata ho q k is ka talook amal or amliyat se kafe hota hai agar

insan ka nafs he us ka kabo main nahi hoga to phir us ka amal be itna zada acha kam nahi kare ga is liya is

insan ko apna nafs per kabo or pak karna zaroore hai abb app khod socha jab tak amel atwar kirdar or

khayalat pak wa pakeza nahi ho gay is ka amal is ki wazefa khowani or chila kashe wagera sab bekar reh

jahe gee na to us ko kuch faida be nahi hoga or na dosaro ko faida poucha sake ga lahaza amel k liya nafs

ko pak karna zaroore hai khasosan is manzil main jabka app amal taskeer kar rahe ho . wakayate khayalat

la yani ka dil se door karna bohat mushkel kam hai is liya ameleen ko chaheya ka wo rohani tareko or duss

ko in takhab kareen inhe se chand ake ka tajkara kar raha ho jin per amal kareen gay to apka nafz pak ho ga

agar kalab ko roshan karna ki taman na hai to ebadat elahe zeda se zeda bajalana ki kushes kijiyajis main

yasohe k bohat bara dakhel hai

roz ana bila naga kalam zail ko ba kasrate parna ki kushes kareen
her roz bila naga 1555 bar ya baki para kareen jo bahis se tajal liyat hai

Bismillahir Rahman nir Raheem ko roz ana 786 merta bila naga wird kijiya kalab munawar hoga

hazoor pak salal laho allai wasalam per roz ana ba kasrate darood pak beja

shaytan apka khayalat per hawi nahi ho pahe ga or nazool khuda wand hoge inshalalh


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


rajat (pagal pan ya demage ka ulta ho jana )

Bismillahir Rahman nir Raheem

chaptor no 40

rajat (pagal pan ya demage ka ulta ho jana )

As salamu allaiqum


amliyate line main rajat ka matlab ko pagal pan kehta hai amliyate line main is lafz ko demage khalal se tabir

karte hai yani aha demage insani ho jis main soch na or samajh na ki salaheyat baki na rahe or wo herkat

layani ka merkab hota rahe amliyate duniay main insan ki kis kisam ki halat is waquat hote hai jab kisi amal

ki chila kashe ka doran kawahid anjam dahe amal ko ya to faramosh karde ya phir is ki baja karna main bah

tahtayate parte

abb main apko detail main samjhata ho ka rajat q ho jate hai is liya bazz logo se apna sona ho ga ka falana

ka chila kiya tha to us ki tabiyat kharab ho gee ya wo bemar ho gaya or us ka zehan ulat gaya is ki waja hai

amliyat ko karna ka kawahid hai jis tarah ake hakimi dava app taiyaar kar rahe hai for example app ake

hazme ki goli taiyaar kar rahe hai tib se

ingredients apna liya

black salt

lahore salt

piper longum l

anacylus pyrethrum

saussurea lappa

cuminum cyminum l

ferula assa foetida l

citrus lemon extract

abb apka pass ingredients ah gahe hai laken abb apko is ko sahe migdar main ake wazan main bana na

hai taka yeah goli apko faida de agar app is ki mikdar main kohi gerber karde gay to yeah goli bajahe faida

ka nooksan de ge is liya apko is ki sai migdar ki khorake banani hai

is liya apna itna itna weit la liya in ingredients ka

black salt 0.1200g

lahore salt 0.0560g

piper longum l 0.0520g

anacylus pyrethrum 0.0120 g

saussurea lappa 0.0100g

cuminum cyminum l 0.0300g

ferula assa foetida l 0.0010g

citrus lemon extract 0.0180g

total weight howa ake goli ka 0.2990 g

abb apna ake goli taiyaar karle is hisab se laken abb kitni goli kahe ka goli apko faida pouchahe or kitna din

tak gahe ka apka hazma theek ho jahe

to apna roz sobah or sham ake goli kahe or ake hafta tak khahe

us hisab se apko faida howa

laken agar app yahe goli din main sobah , dophar or sham main 2 ,2 time khate or bajahe ake hafta ka 2

hafta tak khate to bajahe faida ka ulta nooksan hota

ya phir app goli khate or perhaz na karte to be apko nooksan hota

ishe tarah amliyat main be amal ko bana ny ka kanoon hai yani pehla amal ko taiyaar kareen apna mawafiq

phir elim najoom se waquat nikalay phir us mokarar waquat per amal ki tadat ka hisab se otna din tak amal

pareen phir jo perhez hai wo be karen or jo jo bakhorate hai wo be jalahe or jo sadkat hai wo be den yeah

medicine wala nuska mana apko example dena ka liya samjhaya hai kahe app real main na bana lay

medicine

mera hisab se rajat chand waja se hote hai

1 perhez na karna se

2 jalali amal karete waquat bah ahteyate karna

3 begar ijazat amal karna yani apna ustad ki begar ijazat amal karna

4 mokilo se ulta kam karvana yani najahis

5 lawazmat pore nahi karna or beh ahteyate karna

6 ahse jaga amal karna jaha per badbu ah rahe ho khod k pass se be badbu na ahe

yeah course khatam karna ka baad ilm najoom sekh na zaroore ha is link per visit kareen

http://amliyatenajoom.blogspot.com/



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com